Home | Index of Poets Ibne Insha

aur to ko_ii bas na chalegaa hijr ke dard ke maaro.n kaa


aur to ko_ii bas na chalegaa hijr ke dard ke maaro.n kaa 
subah kaa honaa duubhar kar de.n rastaa rok sitaaro.n kaa 

jhuuThe sikko.n me.n bhii uThaa dete hai.n aksar sachchaa maal 
shakle.n dekh ke saudaa karanaa kaam hai in banjaaro.n kaa 

apanii zubaa.N se kuchh na kahe.nge chhup hii rahe.nge aashiq log 
tum se to itanaa ho sakataa hai puuchho haal bechaaro.n kaa 

ek zaraa sii baat thii jis kaa charchaa pahu.Nchaa galii galii 
ham gum_naamo.n ne phir bhii ehasaan na maanaa yaaro.n kaa 

dard kaa kahanaa chiiKh uTTho dil kaa taqaazaa vaza'a nibhaao 
sab kuchh sahanaa chup chup rahanaa kaam hai izzat_daaro.n kaa 

[vaza'a - here the word is used to indicate self-respect] 

Home | Index of Poets Ibne Insha
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001