ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N
Hasan Rizvi

ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N
meraa saath ko_ii na de sakaa merii hasarate.n hai.n dhuaa.N dhuaa.N

mai.n ta.Dap ta.Dap ke jiyaa to kyaa mere Khvaab mujh se bichha.D gaye
mai.n udaas ghar kii sadaa sahii mujhe de na ko_ii tasalliyaa.N

chalii aisii dard kii aa.Ndhiyaa.N mere dil kii bastii uja.D ga_ii
ye jo raakh-sii hai bujhii bujhii hai.n isii me.n merii nishaaniyaa.N

ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
mai.n vo phuul huu.N jo na khil sakaa merii zindagii me.n vafaa kahaa.N

Home | Index of Poets


Last updated on 19th August, 1999