kabhii kitaabo.n me.n phuul rakhanaa
Hasan Rizvi

kabhii kitaabo.n me.n phuul rakhanaa
kabhii daraKhto.n pe naam likhanaa
hame.n bhii hai yaad aaj tak vo
nazar se harf-e-salaam likhanaa

[daraKht=tree; harf=letter (as in alphabet)]

vo chaa.Nd chehare vo bahakii baate.n
sulagate din the mahakatii raate.n
vo chhoTe-chhoTe se kaaGazo.n par
muhabbato.n ke payaam likhanaa

[payaam=message]

gulaab cheharo.n se dil lagaanaa
vo chupake chupake nazar milaanaa
vo aarazuuo.n ke Khvaab bunanaa
vo qissaa-e-naatamaam likhanaa

[qissaa=tale/story; naatamaam=unfinished]

mere nagar kii hasii.n fazaao
kahii.n jo un ke nishaan paao
to puuchhanaa ye kahaa.N base ho
kahaa.N hai.n un kaa qayaam(?) likhanaa

ga_ii ruto.n me.n "Hasan" hamaaraa
bas ek hii to ye mashaGalaa thaa
kisii ke chehare ko subah kahanaa
kisii kii zulfo.n ko shaam likhanaa

[mashaGalaa=preoccupation]
**mashaGuul rahanaa means to be deeply involved in/ to be preoccupied with**

Home | Index of Poets


Last updated on 19th February, 1999