Home | Index of Poets Himayat Ali Shayar

raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh


raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh
chaa.Nd sitaare shajar hajar Khaamosh

[shajar = tree; hajar = stone]

ko_ii aavaaz-e-paa na baang-e-jaras
kaaravaa.N aur is qadar Khaamosh

[baang-e-jaras = sound of the caravan bell]

har taraf ek muhiib sannaaTaa
dil dha.Dakataa to hai magar Khaamosh

huye jaate hai.n kis liye aaKhir
ham_safar baat baat par Khaamosh

hai.n ye aadaab-e-rah_guzar ke Kahuf
raah_rau chup hai.n raahabar Khaamosh

muKhtasar ho na ho shab-e-taariik
ham ko jalanaa hai raat bhar Khaamosh

jaane kyaa baat kar rahe the ki ham
ho gaye ek naam par Khaamosh

Home | Index of Poets Himayat Ali Shayar
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 17th August, 2003