Home | Index of Poets Himayat Ali Shayar

is baar vo milaa to ajiib us kaa rang thaa


is baar vo milaa to ajiib us kaa rang thaa 
alfaaz me.n tarang na lahajaa dabang tha 

[alfaaz=words (plural of lafz); lahajaa=manner] 

ek soch thii ki bikharii hu_ii Khaal-o-Khad me.n thii 
ek dard thaa ki jis kaa shahiid ang-ang thaa 

[Khaal-o-Khad=body] 

ek aag thii ki raakh me.n poshidaa thii kahii.n 
ek jism thaa ki ruuh se masaruuf-e-jang thaa 

[poshiidaa=hidden; masaruuf=busy in/involved with] 

mai.n ne kahaa ki yaar tumhe.n kyaa huaa hai ye 
us ne kahaa ki umr-e-ravaa.N kii ataa hai ye 

[umr-e-ravaa.N=life in passing; ataa=gift] 

mai.n ne kahaa ki umr-e-ravaa.N to sabhii kii hai 
us ne kahaa ki fikr-o-nazar kii ataa hai ye 

mai.n ne kahaa ki sochataa rahata to mai.n bhii huu.N 
us ne kahaa ki aa_iinaa rakhaa huaa hai ye 

dekhaa to meraa apanaa hii aks-e-jamaal thaa vo 
vo mai.n thaa aur "Himayat Ali" thaa vo 

Home | Index of Poets Himayat Ali Shayar
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th May, 2001