Home | Index of Poets Hafeez Hoshiarpuri

aaj unhe.n kuchh is tarah jii khol kar dekhaa kiye


aaj unhe.n kuchh is tarah jii khol kar dekhaa kiye
ek hii lamhe me.n jaise umr bhar dekhaa kiye

dil agar betaab hai dil kaa muqaddar hai yahii
jis qadar thii ham ko taufiiq-e-nazar dekhaa kiye

Khud_faroshaanaa adaa thii merii suurat dekhanaa
apane hii jalve ba-andaaz-e-digar dekhaa kiye

[ba-andaaz-e-digar = in a different way/style; digar = second]

naashanaas-e-Gam faqat daad-e-hunar dete rahe
ham mataa-e-Gam ko rusvaa-e-hunar dekhaa kiye

[naashanaas-e-Gam = unacquainted with sorrow]
[daad-e-hunar = praise for one's skills; rusvaa = disgrace]

dekhane kaa ab ye aalam hai ko_ii ho yaa na ho
ham jidhar dekhaa kiye paharo.n udhar dekhaa kiye

husn ko dekhaa hai mai.n ne husn kii Khaatir 'Hafeez'
varnaa sab apanaa hii me_aar-e-nazar dekhaa kiye

[me_aar-e-nazar = scale/level of comparison]

Home | Index of Poets Hafeez Hoshiarpuri
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001