Home | Index of Poets Hasrat Mohani

bhulaataa laakh huu.N lekin baraabar yaad aate hai.n


bhulaataa laakh huu.N lekin baraabar yaad aate hai.n 
ilaahii tark-e-ulfat par wo kyo.nkar yaad aate hai.n 

na chhe.D ae ham-nashii.n kaifiat-e-sahabaa ke afsaane 
sharaab-e-beKhudii ke mujh ko saaGar yaad aate hai.n 

rahaa karate hai.n qaid-e-hosh me.n ae wai naakaamii 
wo dasht-e-Khud faraamoshii ke chakkar yaad aate hai.n 

nahii.n aatii to yaad unakii mahiino.n bhar nahii.n aatii 
magar jab yaad aate hai.n to aksar yaad aate hai.n 

haqiiqat khul gaii 'Hasrat' tere tark-e-mohabbat kii 
tujhe to ab wo pahale se bhii ba.D kar yaad aate hai.n 

Home | Index of Poets Hasrat Mohani
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001