Home | Index of Poets Hasrat Mohani

chupake chupake raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai


chupake chupake raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai 
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai 

baahazaaraa.N iztiraab-o-sad-hazaaraa.N ishtiyaaq 
tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai 

tujhase milate hii vo bebaak ho jaanaa meraa 
aur teraa daato.n me.n vo u.Ngalii dabaanaa yaad hai 

khii.nch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan 
aur dupaTTe se teraa vo muu.Nh chhupaanaa yaad hai 

jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa 
aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai 

tujh ko jab ta.nhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz 
hal-e-dil baato.n hii baato.n me.n jataanaa yaad hai 

jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa 
sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai 

Gair kii nazaro.n se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf 
vo teraa chorii chhipe raato.n ko aanaa yaad hai 

aa gaya gar vasl kii shab bhii kahii.n zikr-e-firaaq 
vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai 

do-pahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye 
vo teraa kothe pe na.nge paao.n aanaa yaad hai 

dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se 
jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai 

chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah 
muddate.n guzarii.n par ab tak wo thikaanaa yaad hai 

beruKhii ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaa.N 
aur teraa hatho.n me.n vo ka.ngan ghumaanaa yaad hai 

vaqt-e-ruKhsat alvidaa kaa lafz kahane ke liye 
vo tere sukhe labo.n kaa thar-tharaanaa yaad hai 

baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe 
aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai 

Home | Index of Poets Hasrat Mohani
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001