hai justajuu ke Khuub se hai Khuubtar kahaa.N
Altaf Husain Hali

hai justajuu ke Khuub se hai Khuubtar kahaa.N
ab dekhiye Thaharatii hai jaa kar nazar kahaa.N

yaarab is iKhtilaat ka anjaam ho baaKhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahaa.N

ik umr chaahiiye ke gavaaraa ho naish-e-ishq
rakkhii hai aaj lazzat-e-zaKhm-e-jigar kahaa.N

ham jis pe mar rahe hai.n vo hai baat hii kuchh aur
aalam me.n tujhase laakh sahii tuu magar kahaa.N

hotii nahii.n qubuul duaa tark-e-ishq kii
dil chaahataa na ho to zubaa.N me.n asar kahaa.N

'Hali' nishaat naGmaa-o-mai Dhuu.NDhate ho ab
aaye ho waqt-e-sub_h, rahe raat bhar kahaa.N

Home | Index of Poets


Last updated on 8th December, 1997