Home | Index of Poets Hakim Nasir

haaye vo vaqt-e-judaa_ii ke tumhaare aa.Nsuu


haaye vo vaqt-e-judaa_ii ke tumhaare aa.Nsuu
gir ke daaman pe bane the jo sitaare aa.Nsuu

laal-o-gauhar ke Khazaane hai.n ye saare aa.Nsuu
ko_ii aa.Nkho.n se churaa le na tumhaare aa.Nsuu

[laal-o-gauhar = rubies and pearls (precious gems)]

terii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to sitaare aa.Nsuu
merii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to bechaare aa.Nsuu

in ko 'Nasir' na kabhii aa.Nkh se girane denaa
un ko lagate hai.n merii aa.Nkh me.n pyaare aa.Nsuu

Home | Index of Poets Hakim Nasir
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001