shabaab aayaa kisii but par fidaa hone kaa vaqt aayaa
Harichand Akhtar

shabaab aayaa kisii but par fidaa hone kaa vaqt aayaa
merii duniyaa me.n ba.nde ke Khudaa hone kaa vaqt aayaa

u.nhe.n dekhaa to zaahid ne kahaa iimaan kii ye hai
ki ab i.nsaan ko sajadaa-ravaa hone kaa vaqt aayaa

takallum kii Khaamoshii kah rahii hai harf-e-matalab se
ki ashk-aamez nazaro.n se adaa hone kaa vaqt aayaa

[takallum=conversation; ashk-aamez=full of tears]

Khudaa jaane ye hai auj-e-yaqii.n yaa pastii-e-himmat
Khudaa se kah rahaa huu.N naaKhudaa hone kaa vaqt aayaa

[auj=height/zenith; pastii=lowest point/nadir; naaKhudaa=oarsman]

hame.n bhii aa pa.Daa hai dosto.n se kaam kuchh yaanii
hamaare dosto.n ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa

Home | Index of Poets


Last updated on 1st October, 1999