Contributed by Thakur Himanshu Jagatsing

chalo naa bhaTake
Gulzar

chalo naa bhaTake
lafa.nge kuucho.n me.n
luchchii galiyo.n ke
chowk dekhe.n
sunaa hai vo log
chuus kar jin ko vaqt ne
raaste.n me.n phe.nkaa tha
sab yahii.n aake bas gaye hai.n
yeh chhilake hai.n zindagii ke
in kaa ark nikaalo
ki zahar in kaa
tumhare jismo.n me.n
zahar palate hai.n
aur jitane vo maar degaa
chalo naa bhaTake
lafa.nge kuuch0.n mei.n

This poem was written by Gulzar in one of his journeys to Nasik from Mumbai(Bombay), in the blank spaces of `Times Of India', the only piece of paper available at that moment. This poem and incident was published in a Marathi newspaper `Maharashtra Times' on 3rd January, 1999.

Home | Index of Poets


Last updated on 5th February, 1999