nahii.n ki mujhako qayaamat kaa etiqaad nahii.n
Mirza Ghalib

nahii.n ki mujhako qayaamat kaa etiqaad nahii.n
shab-e-firaaq se roz-e-jazaa ziyaad nahii.n

[qayaamat=day of judgement; etiqaad=trust/have faith in]
[shab-e-firaaq=night of separation; roz-e-jazaa=day of judgement; ziyaad=more than]

ko_ii kahe ki shab-e-mah me.n kyaa buraa_ii hai
balaa se aaj agar din ko abr-o-baad nahii.n

[shab-e-mah=moonlit night; abr-o-baad=cloud and wind]

jo aauu.N saamane un ke to marahabaa na kahe.n
jo jaauu.N vaa.N se kahii.n ko, to Khairabaad nahii.n

[marahabaa=an exclamation indicating extreme pleasure; Khairabaad=to bid farewell]

kabhii jo yaad bhii aataa huu.N mai.n to kahate hai.n
ke aaj bazm me.n kuchh fitnaa-o-fasaad nahii.n

[fitnaa=mischief; fasaad=fight/riot/uproar]

alaavaa iid ke milatii hai aur din bhii sharaab
gadaa-e-kuuchaa-e-maiKhaanaa naamuraad nahii.n

[gadaa=beggar; kuuchaa=streets; naamuraad=unrewarded]

jahaa.N me.n ho Gam-o-shaadii baham, hame.n kyaa kaam
diyaa hai hamako Khudaa ne vo dil ke shaad nahii.n

[Gam-o-shaadii=sadness and happiness; baham=next to each other]

tum un ke vaade zikr un se kyuu.N karo "Ghalib"
ye kyaa ke tum kaho aur vo kahe.n ke yaad nahii.n

Home | Index of Poets


Last updated on 18th September, 1998