nuktaachii.N hai Gam-e-dil us ko sunaaye na bane
Mirza Ghalib

nuktaachii.N hai Gam-e-dil us ko sunaaye na bane
kyaa bane baat jahaa.N baat banaaye na bane

[nuktaachii.N=critic/sweetheart ]

mai.n bulaataa to huu.N us ko magar ae jazbaa-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane

khel samajhaa hai kahii.n chho.D na de, bhuul na jaaye
kaash yuu.N bhii ho ki bin mere sataaye na bane

Gair phirataa hai lie yuu.N tere Khat ko ki agar
koii puuchhe ki ye kyaa hai to chhupaaye na bane

is nazaakat kaa buraa ho vo bhale hai.n to kyaa
haath aaye.n to u.nhe.n haath lagaaye na bane

[nazaakat=elegance]

kah sake kaun ki ye jalvaa_garii kisakii hai
pardaa chho.Daa hai vo usane ki uThaaye na bane

[jalvaa_garii=manifestation ]

maut kii raah na dekhuu.N ki bin aaye na rahe
tum ko chaahuu.N ki na aao to bulaaye na bane

bojh wo sar pe giraa hai ki uThaaye na uThe
kaam vo aan pa.Daa hai ki banaaye na bane

ishq par zor nahii.n, hai ye vo aatish 'Ghalib'
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane

[aatish=fire ]

Home | Index of Poets


Last updated on 20th December, 1997