laazim thaa ki dekho meraa rastaa koii din aur
Mirza Ghalib

laazim thaa ki dekho meraa rastaa koii din aur
tanhaa gaye kyo.n ab raho tanhaa koii din aur

[laazim=necessary, tanhaa=alone ]

miT jaayegaa sar, gar teraa paththar na ghisegaa
huu.N dar pe tere naasiyaa_farsaa koii din aur

[naasiyaa=forehead, farsaa=to kneel down and touch the forehead to the ground]

aaye ho kal aur aaj hii kahate ho ki jaauu.N
maanaa ki hameshaa nahii.n achchaa koii din aur

jaate hue kahate ho qayaamat ko mile.nge
kyaa Khuub! qayaamat kaa hai goyaa koii din aur

haa.N ae falak-e-piir, javaa.N thaa abhii aarif
kyaa teraa biga.Dataa jo na marataa koii din aur

[falak-e-piir=referring to God]

tum maah-e-shab-e-char_duhum the mere ghar ke
phir kyo.n na rahaa ghar kaa vo naqshaa koii din aur

[maah-e-shab-e-char_duhum=moon of the fourteenth night]

tum kaun se aise the khare daad-o-sitad ke
karataa malak_ul_maut taqaazaa koii din aur

[daad=justice, sitad=to take; malak_ul_maut=angel of death]

mujhase tumhe.n nafrat sahii, nayyar se la.Daaii
bachho.n kaa bhii dekhaa na tamaashaa koii din aur

guzarii na bahar_haal yaa muddat Khushii-naaKhush
karanaa thaa javaa.N_marg! guzaaraa koii din aur

[javaa.N_marg=one who dies young]

naadaa.N ho jo kahate ho ki kyo.n jiite ho 'Ghalib'
qismat me.n hai marane kii tamannaa koii din aur

Home | Index of Poets


Last updated on 20th December, 1997