Home | Index of Poets Poet Unknown
aaya tha ghar sa.Nvaarane ehasaan kar gayaa

aaya tha ghar sa.Nvaarane ehasaan kar gayaa
barbaadiyo.n kaa aur bhii saamaan kar gayaa

ab tak rahii us kii yaad merii zindagii ke saath
do char pal kii mujh se jo pahachaan kar gayaa

aa.Nkho.n ne jis ke shauq me.n raate.n sajaa_ii thii.n
Khvaabo.n ke anjuman vahii viraan kar gayaa

jho.nkaa nasiim-e-subah kaa aayaa to thaa magar
gul_shan kii har kalii ko pareshaan kar gayaa

Home | Index of Poets Poet Unknown
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 21st May, 2001