Home | Index of Poets Fehmida Riyaz

aivaan-e-adaalat me.n


aivaan-e-adaalat me.n
patharaa_ii hu_ii aa.Nkhe.n
patharaaye hue chehare
patharaa_ii hu_ii saa.Nse.n
chama.De kii zubaano.n par
patharaa_ii hu_ii baate.n

[aivaan = house/palace]

fariyaad kaTaghare me.n 
ro ro ke ta.Dapatii thii
qaanuun ke rakhavaale
kal le ke gaye jis ko
ab us ko yahaa.N laaye.n
vo naash to dikhalaaye.n

[fariyaad = plea; naash = dead body]

patharaaye hue chehare
ek dam ko_ii dil dha.Dakaa
sholaa-saa kahii.n bha.Dakaa
jab tak ki ko_ii samajhe
lo phuut bahe dhaare
aavaaze.n mile baaham
aur guu.Nj uThe naare
maasuum-sii jaano.n ke
betaab javaano.n ke
kyaa shor lahuu kaa thaa
kyaa guu.Nj thii naaro.n me.n

aivaan-e-adaalat me.n 
patharaaye hue kamare
dam rok ke sunate the 
jab surKh salaam aayaa
maqatuul kaa naam aayaa
ghuu.Nsaa-saa lagaa dil par
aa.Nkho.n se lahuu phuuTaa
jiite raho dil vaalo
patthar to ko_ii TuuTaa

[maqatuul = the murder victim]

Home | Index of Poets Fehmida Riyaz
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 6th February, 2002