Home | Index of Poets Ahmed Faraz

ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham


ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham 
chaaraagar roye.nge aur Gam_Khvaar ban jaaye.nge ham 

ham sar-e-chaak-e-vafaa hai.n aur teraa dast-e-hunar 
jo banaa degaa hame.n ai yaar ban jaaye.nge ham 

kyaa Khabar thii ai nigaar-e-sher tere ishq me.n 
dil_baraan-e-shahar ke dil_daar ban jaaye.nge ham 

saKht jaan hai.n par hamaarii ustavaarii par na jaa 
aise TuuTe.nge teraa iqaraar ban jaaye.nge ham 

aur kuchh din baiThane do kuu-e-jaanaa.N me.n hame.n 
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaaye.nge ham 

is qadar aasaa.N na hogii har kisii se dostii 
aashnaa_ii me.n teraa mayaar ban jaaye.nge ham 

miir-o-Gaalib kyaa ke ban paaye nahii.n faiz-o-firaaq 
zam ye thaa ruumii-o-ataar ban jaaye.nge ham 

dekhane me.n shaaKh-e-gul lagate hai.n lekin dekhanaa 
dast-e-gul_chii.n ke liye talvaar ban jaaye.nge ham 

ham chiraaGo.n ko to taariikii se la.Danaa hai 'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaaye.nge ham 

Contributed by Abida Sultan

Home | Index of Poets Ahmed Faraz
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 20th May, 2001