Home | Index of Poets Ahmed Faraz

havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa


havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa 
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa 

pukaarate rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale 
mai.n Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa 

ab ehatiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho 
jo chor dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa 

mai.n chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii 
ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa 

sulagate sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah 
ka.Daa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa 

jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa 
jo naam dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa 

phaTii-phaTii hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe 
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa 

magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii 
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa 

Contributed by Sana

Home | Index of Poets Ahmed Faraz
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 30th April, 2001