Home | Index of Poets Ahmed Faraz

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa


ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa 
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham 
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa 

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum 
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa 

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n 
ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa 

The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan
always sings them as part of this Gazal.
maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat 
chupake se kisii roz jataane ke liye aa 

jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane 
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa 

Home | Index of Poets Ahmed Faraz
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 30th April, 2001