Contributed by Yogesh Sethi


karavaa.N guzaraa kiyaa ham rahaguzar dekhaa kiye
Fani Badayuni

karavaa.N guzaraa kiyaa ham rahaguzar dekhaa kiye
har qadam par naqsh-e-paa raahabar dekhaa kiye

[rahaguzar=path; naqsh-e-paa=footprints; raahabar=guide]

yaas jab chhaaii ummiide.n haath mal kar rah gaii.n
dil kii nabaze.n chhuT gayii.n aur chaaraagar dekhaa kiye

[yaas=despair; nabaz=pulse; chaara-gar=healer]

ruKh merii jaanib nigaah-e-lutf dushman kii taraf
yuu.N udhar dekhaa kiye goyaa idhar dekhaa kiye

dard ma.ndaan-e-vafaa kii haaye re majabuuriyaa.N
dard-e-dil dekhaa na jaataa thaa magar dekhaa kiye

[ma.nd=in need]

tuu kahaa.N thii ai ajal ai naamuraado.n kii muraad
maranevaale raah terii umar bhar dekha kiye

[ajal=death; muraad=desire]

Home | Index of Poets


Last updated on 12th February, 1998