kyaa kare.n
Faiz Ahmed Faiz

merii terii nigaah me.n jo laakh i.ntazaar hai.n
jo mere tere tan badan me.n laakh dil fiGaar hai.n
jo merii terii u.ngaliyo.n kii behisii se sab qalam nazaar hai.n
jo mere tere shahar kii har ik galii me.n
mere tere naqsh-e-paaa ke be-nishaa.N mazaar hai.n
jo merii terii raat ke sitaare zaKhm zaKhm hai.n
jo merii terii subah ke gulaab chaak chaak hai.n
ye zaKhm saare be-davaa ye chaak saare be-rafuu
kisii pe raakh chaa.Nd kii kisii pe os kaa lahuu
ye hai.n bhii yaa nahii.n bataa
ye hai ki mahaz jaal hai
mere tumhaare a.nkabuut-e-vaham kaa bunaa huaa
jo hai to is kaa kyaa kare.n
nahii.n hai to bhii kyaa kare.n
bataa, bataa, bataa, bataa

Home | Index of Poets


Last updated on 27th December, 1999