Contributed by Sana Ali

tere Gam ko jaa.N kii talaash thii tere jaa.N-nisaar chale gaye
Faiz Ahmed Faiz

tere Gam ko jaa.N kii talaash thii tere jaa.N-nisaar chale gaye
terii raah me.n karate the sar talab sar-e-raah-guzar chale gaye

terii kaj-adaa_ii se haar ke shab-e-i.ntazaar chalii ga_ii
mere zabt-e-haal se ruuTh kar mere Gam-gusaar chale gaye

na savaal-e-vasl na arz-e-Gam na hikaayate.n na shikaayate.n
tere ahad me.n dil-e-zaar ke sabhii iKhtiyaar chale gaye

ye hamii.n the jin ke libaas par sr-e-raah siyaahii likhii ga_ii
yahii daaG the jo sajaa ke ham sar-e-bazm-e_yaar chale gaye

na rahaa junuu.N-e-ruKh-e-vafaa ye rasan ye daar karoge kyaa
ji.nhe.n jurm-e-ishq pe naaz thaa vo gunaahagaar chale gaye

Home | Index of Poets


Last updated on 20th February, 1999