Contributed by Sana Ali

sabhii kuchh hai teraa diyaa huaa sabhii raahate.n sabhii kalafate.n
Faiz Ahmed Faiz

sabhii kuchh hai teraa diyaa huaa sabhii raahate.n sabhii kalafate.n
kabhii sohabate.n kabhii furqate.n kabhii duuriyaa.N kabhii qurbate.n

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hai.n sab varaq terii yaad ke
ko_ii lamhaa subah-e-visaal kaa, ka_ii shaam-e-hijr kii qurbate.n

jo tumhaarii maan le.n naasihaa to rahegaa daaman-e-dil me.n kyaa
na kisii uduu kii adaavate.n na kisii sanam kii muravvate.n

chalo aao tum ko dikhaaye.N ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar me.n
ye mazaar ahal-e-safaa ke hai.n ye hai.n ahal-e-sidq kii turbate.n

merii jaan aaj kaa Gam na kar, ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne
kisii apane kal me.n bhii bhuul kar kahii.n likh rakhii ho masarrate.n

Home | Index of Poets


Last updated on 20th February, 1999