Paas Raho
tum mere paas raho
Faiz Ahmed Faiz
tum mere paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
jis gha.Dii raat chale
aasamaano.n kaa lahuu pii kar siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale
bain karatii hu_ii, ha.Nsatii hu_ii, gaatii nikale
dard kii kaasanii paazeb bajaatii nikale
jis gha.Dii siino.n me.n Duubate huye dil
aastiino.nme.n nihaa.N haatho.n kii rah takane nikale
aas liye
aur bachcho.n ke bilakhane kii tarah qul-qul-e-may
bahr-e-naasudagii machale to manaaye na mane
jab ko_ii baat banaaye na bane
jab na ko_ii baat chale
jis gha.Dii raat chale
jis gha.Dii maatamii, sun-saan, siyah raat chale
paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho