Contributed by Faisal Siddiqui


dil-e-man musaafir-e-man
Faiz Ahmed Faiz

mere dil mere musaafir
huaa phir se hukm saadir
ke vatan badar ho.n ham tum
de.n galii galii sadaaye.N
kare.n ruKh nagar nagar kaa
ke suraaG koii paaye.N
kisii yaar-e-naamaabar kaa
har ek ajanabii se puuchhe.n
jo pataa thaa apane ghar kaa
sar-e-kuu-e-naashanaayaa.N
hame.n din se raat karanaa
kabhii is se baat karanaa
kabhii us se baat karanaa
tumhe.n kyaa kahuu.N ke kyaa hai
shab-e-Gam burii balaa hai
hame.n ye bhii thaa Ganimat
jo koii shumaar hotaa
hame.n kyaa buraa thaa maranaa
agar ek baar hotaa

London, 1978

[saadir=announced; vatan badar=exiled]
[naamaabar=letter carrier (postman)]
[kuu-e-naashanaayaa.N=unknown streets]

Home | Index of Poets


Last updated on 23rd March, 1997