ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
Faiz Ahmed Faiz

ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
dushnaam to nahii.n hai ye ikaraam hii to hai

karate hai.n jis pe taa'n, koii jurm to nahii.n
shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hii to hai

[taa'n=satire]

dil muddaii ke harf-e-malaamat se shaad hai
ae jaan-e-jaa.N ye harf teraa naam hii to hai

[harf-e-malaamat=word of criticism]

dil naa-ummiid to nahii.n, na-kaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai

dast-e-falak me.n, gardish-e-taqadiir to nahii.n
dast-e-falak me.n, gardish-e-ayyaam hii to hai

aaKhir to ek roz karegii nazar wafaa
wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hii to hai

[Khush_Khasaal=virtuous]

bhiigii hai raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard kaa ha.ngaam hii to hai

Montogomery Jail
9th March, 1954

Home | Index of Poets


Last updated on 27th December, 1997