Sudarshan Faakir


patthar ke Khudaa patthar ke sanam patthar ke hii insaa.N paaye.n hai.n
Sudarshan Faakir

patthar ke Khudaa patthar ke sanam patthar ke hii insaa.N paaye hai.n
tum shahar-e-mohabbat kahate ho ham jaan bachchaakar aaye hai.n

but-Khaanaa samajhate ho jisako puuchcho na vahaa.N kyaa haalat hai
ham log vahii.n se lauTe hai.n bas shukr karo lauT aaye hai.n

ham soch rahe hai.n muddat se ab umr guzaare.n bhii to kahaa.N
seharaa me.n Khushii ke phuul nahii.n shaharo.n me.n Gamon ke saaye hai.n

hoTho.n pe tabassum halqaa saa aa.Nkho.n me.n namii sii hai 'Faakir'
ham ahl-e-mohabbat par aksar aise bhii zamaane aaye hai.n

Home | Index of Poets


Last updated on 31st January, 1998