unake ek jaa.N-nisaar ham bhii hai.n
DaaG Dehlvi

unake ek jaa.N-nisaar ham bhii hai.n
hai.n jahaa.N sau-hazaar ham bhii hai.n

tum bhii bechain ham bhii hai.n bechain
tum bhii ho beqaraar ham bhii hai.n

ai falaq kah to kyaa iraadaa hai
aish ke Khvaastagaar ham bhii hai.n

shahar khaalii kiye dukaa.N kaisii
ek hii vaadaa-Khvaar ham bhii hai.n

sharm samajhe tere TaGaaful ko
vaah! kyaa hoshiyaar ham bhii hai.n

tum agar apanii Khuu ke ho maashuuq
apane matalab ke yaar ham bhii hai.n

jis ne chaahaa pha.Nsaa liyaa hamako
dil-baro.n ke shikaar ham bhii hai.n

kaun saa dil hai jis me.n daaG nahii.n
ishq kii yaadagaar ham bhii hai.n

Home | Index of Poets


Last updated on 10th December, 1998