ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
DaaG Dehlvi

ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
kabhii jaan sadaqe hotii kabhii dil nisaar hotaa

na mazaa hai dushmanii me.n na hai lutf dostii me.n
koii Gair Gair hotaa koii yaar yaar hotaa

ye mazaa thaa dillagii kaa ke baraabar aag lagatii
na tumhe.n qaraar hotaa na hame.n qaraar hotaa

tere waade par sitamagar abhii aur sabr karate
agar apanii zindagii kaa hame.n aitabaar hotaa

Home | Index of Poets


Last updated on 24th December, 1997