Home | Index of Poets Balraj Komal

akelii


ajanabii apane qadamo.n ko roko zaraa
jaanatii huu.N tumhaare liye Gair huu.N
phir bhii Thaharo zaraa
sunate jaao ye ashko.n bharii daastaa.N
saath lete chalo ye mujassim fuGaa.N

aaj duniyaa me.n meraa ko_ii bhii nahii.n
merii ammii nahii.n
mere abbaa nahii.n
merii aapaa nahii.n
mere nanhe se maasuum bhaiyaa nahii.n
merii ismat kii maGruur kirane.n nahii.n
vo gharondaa nahii.n jis ke saaye tale
loriyo.n ke tarannum ko sunatii rahii
phuul chunatii rahii
giit gaatii rahii
msukuraatii rahii
aaj kuchh bhii nahii.n

merii nazaro.n ke sahame hue aa_iine
merii ammii ke mere abbaa ke aapaa ke 
aur mere nanhe se maasuum bhaiyaa ke Khuun se
hai.n dahashat_zadaa
aaj merii nigaaho.n kii viiraaniyaa.N 
chand majaruuh yaado.n se aabaad hai.n
aaj merii umango.n ke suukhe ka.Nval 
mere ashko.n ke paanii se shaadab hai.n
aaj merii ta.Dapatii hu_ii sisakiyaa.N 
ek saaz-e-shikastaa kii fariyaad hai.n
aur kuchh bhii nahii.n
bhuuk miTatii nahii.n
tan pe kapa.Daa nahii.n
aas maaduum hai

aaj duniyaa me.n meraa ko_ii bhii nahii.n
ajanabii apane qadamo.n ko roko zaraa
sunate jaao ye ashko.n bharii daastaa.N
saath lete chalo ye mujassim fuGaa.N

merii ammii bano
mere abbaa bano
merii aapaa bano
mere nanhe se maasuum bhaiyaa bano
merii ismat kii Magruur kirane.n bano
mere kuchh to bano 
mere kuchh to bano 
mere kuchh to bano 

Home | Index of Poets Balraj Komal
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 19th June, 2001