Home | Index of Poets Bashir Badr

vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa


vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa
abhii mai.n ne dekhaa hai chaa.Nd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa

jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa huaa kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa huaa

[varaq = page]

ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa ga_ii
ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa

[mauj = wave]

mujhe haadaso.n se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyo.n se rachaa huaa

vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate ho.nTho.n ke chaa.Nd the
kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa

[taaq = shelf; tah-e-gard = under the dust]

vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa

[dariichaa = window; daraKht = tree]

mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa

[sharar = spark/ember; bisaat = capacity/worthiness]

Home | Index of Poets Bashir Badr
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th December, 2002