Khvaab is aa.Nkho.n se ab ko_ii churaa kar le jaaye
Bashir Badr

Khvaab is aa.Nkho.n se ab ko_ii churaa kar le jaaye
qabr ke suukhe huye phuul uThaa kar le jaaye

mu.ntazir phuul me.n Khushbuu kii tarah huu.N kab se
ko_ii jho.nke.n kii tarah aaye u.Daa kar le jaaye

[mu.ntazir=waiting]

ye bhii paanii hai magar aa.Nkho.n kaa aisaa paanii
jo hathelii pe rachii meha.ndii u.Daa kar le jaaye

mai.n mohabbat se mahakataa huaa Khat huu.N mujh ko
zindagii apanii kitaabo.n me.n dabaa kar le jaaye

Khaak i.nsaaf hai naabiinaa buto.n ke aage
raat thaalii me.n chiraaGo.n ko sajaa kar le jaaye

[naabiinaa=blind]

Home | Index of Poets


Last updated on 11th May, 1999