Home | Index of Poets Jagannath Azad

Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the


Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the

jis tarah daaman-e-mashriq me.n sahar hotii hai
zarre zarre ko tajallii kii Khabar hotii hai
aur jab nuur kaa sailaab guzar jaataa hai
raat bhar ek andhere me.n basar hotii hai
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the 

[mashriq=east; sahar=dawn; zarraa=speck/minute particle]
[tajalii=brilliant light; nuur=light; sailaab=flood/deluge] 

jaise gulashan me.n dabe paao.n bahaar aatii hai
pattii pattii ke liye leke nikhaar aatii hai
aur phir vaqt vo aataa hai ke har mauj-e-sabaa
apane daaman me.n liye gard-o-Gubaar aatii hai
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the 

[gulashan=garden; mauj=wave; sabaa=gentle breeze]
[gard=dust; Gubaar=dirt/dust; gard-o-Gubaar=(dhuul-miTTii)] 

jis tarah mahv-e-safar ho ko_ii viiraane me.n
aur raste me.n kahii.n ko_ii Khiyaabaa.N aa jaaye
chand lamho.n me.n Khiyaabaa.N ke guzar jaane par
saamane phir vohii duniyaa-e-biyaabaa.N aa jaaye
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the 

[mahv-e-safar=traveller; viiraanaa=wilderness]
[Khiyaabaa.N=blossoming garden; biyaabaa.N=desert/jungle] 

Home | Index of Poets Jagannath Azad
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th January, 2002