Home | Index of Poets Ameer Minai

ha.Ns ke faramaate hai.n vo dekh kar haalat merii


ha.Ns ke faramaate hai.n vo dekh kar haalat merii 
kyo.n tum aasaa.N samajhate the muhabbat merii 

baad marane ke bhii chho.Dii na rafaaqat merii 
merii turbat se lagii baiThii hai hasarat merii 

mai.n ne aaGosh-e-tasavvur me.n bhii khe.nchaa to kahaa 
pis ga_ii pis ga_ii bedard nazaakat merii 

aa_iinaa subah-e-shab-e-vasl jo dekhaa to kahaa 
dekh zaalim ye thii shaam ko suurat merii 

yaar pahaluu me.n hai tanhaa_ii hai kah do nikale 
aaj kyo.n dil me.n chhupii baiThii hai hasarat merii 

husn aur ishq ham_aaGosh nazar aa jaate 
terii tasviir me.n khi.nch jaatii jo hairat merii 

kis DhiTaa_ii se vo dil chhiin ke kahate hai.n 'Ameer' 
vo meraa ghar hai rahe jis me.n muhabbat merii 

Home | Index of Poets Ameer Minai
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd May, 2001