Home | Index of Poets Ameer Minai

jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa


jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa 
naazuk bahut hai phuul charaaG-e-mazaar kaa 

phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa 
phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa 

shaaKho.n se barg-e-gul nahii.n jha.Date hai.n baaG me.n 
zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa 

har gul se laalaazaar me.n ye puuchhataa huu.N mai.n 
tuu hii pataa bataade dil-e-daaG_daar kaa 

is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne 
yaad aa gayaa mazaa mujhe aaGosh-e-yaar kaa 

hilatii nahii.n havaa se chaman me.n ye Daaliyaa.N 
muu.Nh chuumate hai.n phuul uruus-e-bahaar kaa 

uThataa hai naazaa me.n vo sarahaane se ai 'Ameer' 
miTataa hai aasaraa dil-e-ummiid_vaar kaa 
 

Home | Index of Poets Ameer Minai
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd May, 2001