Home | Index of Poets Asar Lucknawi

dil kaa ronaa Thiik nahii.n hai muu.Nh ko kalejaa aane do


dil kaa ronaa Thiik nahii.n hai muu.Nh ko kalejaa aane do
thamate hii thamate ashk thame.nge naaseh ko samajhaane do

kahate hii kahate haal kahe.nge aisii tumhe.n kyaa jaldii hai
dil ko Thikaane hone do aur aap me.n ham ko aane do

bazm-e-tarab me.n dekh ko mujh ko pher lii aa.Nkhe.n saaqii ne
mere liye the zahar halaahal is ke bhare paimaane do

Khude se girebaa.N phaTate the aksar chaak havaa me.n u.Date the
ab ke junuu.N kaa josh nahii.n hai aa_ii bahaar to aane do

yadi dil gum_gushtaa me.n ThanDii aahe.n bharataa thaa
ha.Ns ke sitam_gar kahataa kyaa hai baat hii kyaa hai jaane do

dil ko 'Asar' ke luuT liyaa shoKh_nigaah ik kaafir ne
ko_ii na is ko rone se roko aag lagii hai bujhaane do

Home | Index of Poets Asar Lucknawi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001