Home | Index of Poets Akhtar ul Iman

jumuud


tum se berangii-e-hastii kaa gilaa karanaa thaa 
dil pe anbaar hai Khuu.Ngashtaa tamannaao.n kaa 
aaj TuuTe hue taaro.n kaa Khayaal aayaa hai 
ek melaa hai pareshaan sii ummiido.n kaa 
chand paz_murdaa bahaaro.n kaa Khayaal aayaa hai 
paa.Nv thak thak ke rah jaate hai.n maayuusii me.n 
pur_mahan raah_guzaaro.n kaa Khayaal aayaa hai 
saaqii-o-baadaa nahii.n jaam-o-lab-e-juu bhii nahii.n 
tum se kahanaa thaa ki ab aa.Nkh me.n aa.Nsuu bhii nahii.n 

[Khuu.Ngashtaa=dripping with blood; paz_murdaa=wilted] 
[pur_mahan=full of sorrow; lab-e-juu=river side] 

Home | Index of Poets Akhtar ul Iman
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 23rd July, 2001