Home | Index of Poets Akhtar Azad

ko_ii chaudhvii.n raat kaa chaa.Nd ban kar tumhaare tasavvur me.n aayaa to hogaa


ko_ii chaudhvii.n raat kaa chaa.Nd ban kar tumhaare tasavvur me.n aayaa to hogaa 
kisii se to kii hogii tum ne muhabbat kisii ko gale se lagaayaa to hogaa 

tumhaare Khayaalo.n kii anganaa_iyo.n me.n merii yaad ke phuul mahake to ho.nge 
kabhii apanii aa.Nkho.n ke kaajal se tum ne meraa naam likh kar miTaayaa to hogaa 

labo.n se muhabbat kaa jaaduu jagaakar bharii bazm me.n sab se nazare.n bachaa kar 
nigaaho.n kii raaho.n se dil me.n samaa kar kisii ne tumhe.n bhii churayaa to hogaa 

kabhii aa_iine se nigaahe.n milaakar jo lii hogii bharapuur anga.Daa_ii tuune 
to ghabaraake Khud terii anga.Daa_iiyo.n ne tere husn ko gud_gudaayaa to hogaa 

nigaaho.n me.n shama-e-tamannaa jalaa kar takii ho.ngii tum ne bhii raahe.n kisii kii 
kisii ne to vaadaa kiyaa hogaa tum se kisii ne tumhe.n bhii rulaayaa to hogaa 

Home | Index of Poets Akhtar Azad
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 23rd July, 2001